اتوار، 9 ستمبر، 2012

Aaj bohat dinon k baad

Aaj bohat dinon k baad kuch likhney ko ji chaha
ji chaha likhoon tere husn k kaseeday
tere nain kanwal, hont gulab likhoon
hansi ko jharna tujhey khawab likhoon
teri sansoon ki mehak, choorion ki khanak likhoon
sochta hun chand ko teri jhalak likhoon
anchal dhanak to ratar saba likhoon
zulfein ghata, chandani ko qaba likhoon
hoor likhoon, pari likhoon alapsara likhoon
tujhey sab se juda likhoon, teri har ik ada likhoon
munfarid likhoon k yakta likhoon
heran hoon k tujhey kia likhoon
likhoon tujhey mur mur ki moorat
lafzoon se banaoon teri soorat
kirtas pe anmit tehreer likhoon
tujhey husn ki tafseer likhoon
har khawab ki tabeer likhoon
tujhey apni taqdeer likhoon
tere husn ka fasoon likhoon
apnay ishq ka junoon likhoon
apni betabi ka kissa likhoon
sochta hun tujhey apna hissa likhoon
kabhi schta hun teri guftagoo likhoon
tere samney, tere rubaroo likhoon
teri zaat ka sehar likhoon
har shab e gham ki sahar likhoon
qudrat ka shahkar likhoon
nazakat ka ainadar likhoon
fasl e gul ka behroop likhoon
ya december ki dhoop likhoon
nik-hatoon ka istaara likhoon
ya falak ka sitara likhoon
behar e hasi ka tujhey ik kinara likhoon
dil nasheen, dil ka makeen likhoon
apna guman, apna yaqeen likhoon
dard ka darman, dil ka arman likhoon
tujhey likhoon jahan likhoon
so dil mei tujhey nihan likhoon
Aaj bohat dinoon k baad kuch likhney ko ji chaha

کوئی تبصرے نہیں: